October 17, 2012

Abdullah by Hashim Nadeem pdf

Kuch Lines............

Kabhi Kabhi To Mujhe yun Lagta Ta ke Jese katib-e-Taqdeer ne Mere Qismat Ki Siyaee Kuch Ziada Garhi Bana Dali Ti, Sham Hote He Zohra Ki Yaad ka Panda phir se meri sheh rag ghontne ke liye apne bal kasne laga, hamare takey hue bedam peprhe apna pura zor laga kar taza hawa ki aik lehr ko apne andar utarne ke liye betabi se parh parhate hain, lekin ishq ki dali hui khak hamray sans lene ke tamam raste pehle he masdood kar chuki hoti hai, aise main insan jitna bechain ho kr airhiyan ragarhta hai itni he ziyada usay aziyat hoti hai, Jan rukh rukh kar nikalti hai aise mai fida hone ka behtreen kuliya yei hai ke saans lene ki aur dam kenchne ki har koshish tarak krdia jae aur mohbbat ko apni ragon se zindagi nichorhne ki ijazat di jae, so mai ne be zohra ki yad ke pande ko apne sheh rag ke sath behad mazbooti se lapatne dia, shayad mera muqadar yei yaad ki amar beel thi kiyun ki jis ki zath se yaadon ki dor bandi thi, wo to na jane kahan ja chupi thi, waswase mohbbat ka aeena hote hain, meri chahat be inni waswason ke aks ka shikar ho rahi thi, kon kehta hai ke mohbbat dunya ka mozboot tareen jazba hai, mai ne to shuru se le kr aakhir tak issay tar e hankboot e paya ta, badnamiyan , ruswaiyan, nakamiyan, dard, tadap, kasak au rjalan he aashiqon ka sada se muqadar hai.......................................... for more detail download it


Add caption










Hashim Nadeem, Urdu Novels

0 comments:

Post a Comment

 

© 2011 Youbook - Designed by Mukund | ToS | Privacy Policy | Sitemap

About Us | Contact Us | Write For Us